Ilzam Shayari in hindi and English - Tension Ends

Ilzam Shayari in hindi and English

Ilzam Shayari in Hindi and English

Usually, people blame others and no one takes responsibility for any work. so we have come up with these beautiful Ilzam Shayari that can help you to counter others. Do follow our facebook page and visit our website for other beautiful Shayari.


Koi Ilzaam Rah Gaya Ho

कोई इल्जाम रह गया हो तो वो भी दे दो,
पहले भी हम बुरे थे, अब थोड़े और सही।

 

Koi Ilzaam Rah Gaya Ho To Wo Bhi De Do,
Pahle Bhi Hum Bure The, Ab Thode Aur Sahi.


Bewafai ka Ilzam

Dil zale ilzam Shayari

#बेवफा तो वो खुद थी,
पर इल्ज़ाम किसी और को देती है.
पहले नाम था मेरा उसके लबों पर,
अब वो नाम किसी और का लेती है
कभी लेती थी वादा मुझसे साथ न छोड़ने का,
अब बही वादा किसी और से लेती है।

 

Bewafa To Wo Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur Ko Deti Hai.
Pehle Naam Tha Mera Uske Labon Par,
Ab Wo Naam Kisi Aur Ka Leti Hai.
Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chhorne Ka,
Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai.


Jamane Ka Dastoor

Ilzam Shayari

हँस कर कबूल क्या कर ली सजाएँ मैंने,
ज़माने ने दस्तूर ही बना लिया हर इलज़ाम मुझ पर मढ़ने का।

 

Hans Kar Kabool Kya Kar Li Sajayen Maine,
Jamane Ne Dastur Hi Bna Diya Har Ilzaam Mujh Par Madhne Ka.


Mohabbat ka Ilzam

Lovely Blame Shayari

हर इल्ज़ाम का हकदार वो हमें बना जाते हैं,
हर खता की सजा वो हमें सुना जाते हैं,
और हम हर बार खामोश रह जाते हैं,
क्यों कि वो अपने होने का हक जता जाते हैं।

 

Har ilzaam Ka Haqdaar Wo Hame Bana Jate Hai,
Har Khata Ki Sazaa Wo Hame Suna Jate Hai,
Aur Hum Har Bar Khamosh Rah Jate Hai,
Kyun ki Wo Apne Hone Ka Haq Jata Jate Hai.


Gustake-e-Dil

दिल पे आये हुए इल्ज़ाम से पहचानते हैं,
लोग अब मुझको तेरे नाम से पहचानते हैं.
Dil pe aaye hue iLzaam se pehchaante hai,
Log ab mujhko tere naam se Pehchaante hai

Leave a Comment